Saturday, August 21, 2010

Waqt utna hi azmaata hain

Waqt utna hi azmaata hain, jitna insaan sambhaal paata hain
Dhoop ke tewar na dikhayen keh do, shaam bhi unke hissey aata hain

Kach_che usulon se nahi bante hain, irade pakkey
Ghar yeh mitti ka, hur toofan mein beh jata hain

Uthke girta hain, phir uth_ta hain girne ke liyeh
Chote se bacche ko chalna toh yun hi aata hain

Kabhi josh mein na jaye koi chod ke apno ko
Hur subah ka bhoola ghar lout nahi paata hain

Gum ghol ke peetey hain hur jaam mein apne yeh
Befikron ki basti mein dard kisko satata hain

Khud kehta hain rishton ko na tolo kabhi matlab se
Chupke se magar haathon mein tarazu bhi thamaata hain

Seeshe ke dukano mein makhmal ke khillone hain
Dil Gareeb ke bacche ka usey dekh behal jaata hain

Roshan karo raahon ko, tum beshak hi sitaron se
Par Dehleej ke rounak ko, “Deepak” hi badhaata hain

No comments: