Saturday, August 14, 2010

Kahan se deep laun roshini kaise jagaun main

Kahan se deep laun roshini kaise jagaun main
Bahut hu duur ub tum tak kaise lout aaun main
Meri awaaz bhi mujh jaise bas khamosh si hi hain
Tumhe in raaton ki tanhayee se kaise bulaun main

Aadat si humesha hain umeedon ko kafan dena
Ub jo aayee hain khushiyan, ghar kaise sajaun main

Koi aata nahi mujh tak, andhero mein ujala sa
Kisi ke naam ki mehndi bata kaise sajaun main

Koi taqleef naho usko, wo mera khuda sa hain
Yeh bhi manzoor hain uski zafa par muskuraun main

Mohabaat ke fasane mein, ashqoN ke thiqaane hain
Kahan tak yaad rakhu aur kahan tak bhool jaun main

zamane ke tareeqe se bahut jee kar ke dekha hain
Bas itni arzoo hain ub ki khud mein lout aaun main

No comments: