Saturday, August 14, 2010

Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Jub bhook ho har saans mein, nafrat aur gum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram
Jahanpar jaat pe ladtey hain, har choti baat pe hum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Martey jahan kisaan, aankhen hoti nahi hain num
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Chand sehron ki bulandi ko ”India shinning” jo bolenge
Pura bharat Kahan se bolega phir vande mataram

Jahan par praant, bhasha ki shiyashat hoti hain hur dum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Kahan shikwa karey auro se, iss berukhi ka hum
Ki humse bhi nahi hota yaro ub vande mataram

Magar itna toh hain ki hum apni atma tatolenge
Apne Hissey ke farz ko pura karenge hum
Humey jub dusre ke gum mein, mehsus hoga gum
Tabhi hoga yaaro sach main phir vande matram

No comments: