Saturday, August 14, 2010

Meri zustzu meri arzoo, kabhi khawab banke mila karo

Meri zustzu meri arzoo, kabhi khawab banke mila karo
Main sawaal leke fira karu, tum jawab banke mila karo

Main bhool jata hu dard-e-gum apne tumhare ishq mein
Safar mein hain kaantey bahut, gulaab banke mila karo

Main gulaam hu tere ishq ka, tujhe dekhar hi jeeya karu
Yeh andhere mujhko nigal na le, mehtaab banke mila karo

Mere bus mein khud main nahi raha, kis pal na jane kya karu
Mere behisaab zazbaat se, tum hisaab banke mila karo

Gum mein dubi yeh sard raat, tanhayee le jaye na jaan
Mere kap-kapatey ruuh se, tum lihaaf banke mila karo

Mera ishq mera khuda sa hain, meri bandagee puri rahe
jise dekh ke ho jaon Fana, Aisa Rubab ban ke mila karo

Har roz tay kar ke kahi, milna munasib na lage
Toh mujhse har din raah mein, ittefaq banke mila karo

No comments: