Monday, September 16, 2013

Khwab adhure, baat adhuri, neend hai koso door kahi



Khwab adhure, baat  adhuri, neend hai koso door kahi
Geeli aankhen, paon mein baedi, wo bhi hai majboor kahi

Zakhm ko lekar jeetey rahe, na roye na cheekhe hum
Kismet ka likha humko bhi, shayad  tha manzoor kahi

Wo aa jaye, saawan aaye, mausam ki rangat ban jaaye
Uska hone ko vyaakul hai, maathe ka sindoor kahi

Pathraee aankhon se hasti, yun wo bole khamoshi se
Dil mein chubha  hua ho jaise, yaadon ka nasoor kahi

Palko mein wo shaam chupaye, raat churaa le jaati hai
Chaand ko zulf mein baandhe baithi, Hogi wo magroor kahi

Aaja apni baat suna le, mehfil, mouke sab tere hai
“Deepak” is lamhe ko thaame, waqt bhi baitha door kahi


Sunday, August 18, 2013

Mazboor-e-dil kare bhi kya, Tere aane ki dua kare

Mazboor-e-dil kare bhi kya, Tere aane ki dua kare
Koi baat tujhko rok le, Tu lout aaye khuda kare

Khuda tu itna beraham nahi hai toh phir yeh bataa
Wo koun hain jo Likhe kismet, dil se dil ko judaa karey

Mere naam ki mehndi ka rang mehboob ke haathon saje
 meri taqdeer mujhse khuda mere, ik baar to wafaa karey

keh de koi betaab-e-dil  se, intezaar karta hai raat din
wo dil se apne iqraar ke ub pancheeyon ko rihaa karey

main haar kar sab baaziyaan, sab kuch lootakar ke khada
do ansoo rakh le nigaahon mein, dil houshla naya karey

yeh dil khuda ka ghar hai deepak, dil se koi khele na
hur dil mohabatt ke yahan, haq ko dil se adaa karey






Thursday, August 15, 2013

Ki tujhpe hans ke mar jaun mujhe woh zindagi de de


Watan mere, tu apne naam ki deewangi de de
Ki tujhpe hans ke mar jaun mujhe woh zindagi de de

Jahan maao ne bêto ki shaheedi ko sajaaya hain
Tu meri maa ki aankhon ko bhi ek aisi khushi de de

Shikhar tak le ke jaayenge tumhara naam duniya mein
Yeh zazba bhujh na paaye dil se aisi tishnagi de de

Na ho hindu, na ho muslim, na koi sikh ya issaee
Fakat tu hi rahe bando mein aisi bandagi de de

Mujhe yeh aisho aaraamo ki duniya chubti hai, “Deepak”
Tu mujhko badle mein chahe ‘BHAGAT” ki zindagi de








Sunday, August 11, 2013

Jaane kitna dard hai dil mein, Jo ashkon ko mund raha hain




Jaane kitna dard hai dil mein, Jo ashkon ko mund raha hain
Chupke se rone ke liye, Ghar mein kona dhundh raha hai

Woh apni tanhayee se, awaje wafa ki dene laga hai
Apna dil behlane ko phir se khillonaa dhundh raha hai

Kaatein kaatein neend mein bikhre, lahu luhaan har raat rahi
Yun hi nahi wo deewaana, phoolon ka bichouna dhundh raha hai

Udd gaye uskey  pran pakheru, Haath pakadkar rota beta
Budhi daadi ke haathon ka shayad sona dhundh raha hai

Footpath ka baccha ‘deepak’, sach ki maar na seh paayega
Kaali, andhi gufaon mein, sapna salona dhundh raha hai





Woh mukar gaya phir baat se

Woh mukar gaya phir baat se
Kya hal milega mulaaqat se

Jahan din dopehar dhoke miley
Kya shikaayatein ho raat se

Koi jeet kar bhi nadaan hai
Koi seekhta  hai maat se

Hai mushqilein bhi khokhali
Jara lad ke dekho halaat se

Koi jakar uthaaye ki din ugey
Yeh soya pada hai raat se

Deepak’ aisey insaan bana

Jo na pehchaane tujhko jaat se

राख़ से लिपटी हुई, सर्द सी आहें

राख़ से लिपटी हुई, सर्द सी आहें
जाने कौन से अरमान, सेकना चाहें

खामोशीयों से ऐसी आवाजें उठ रही है
जैसे की हसतें हसतें कोई ले रहा कराहें

बरसों से ताकती है एक राह कोठरी से
चौखट बनी हुई है तरसी हुई निगाहें

अब के बरस न आया, उम्मीद छोड़ देंगे
ग़म लगा के सीने, भर लेंगे हम ये बाहें

किस्मत की बेवफाई रुकी नहीं कहीं भी
भटके हुए मुसाफिर को मिलतें रहे चौराहें

उसके ही हौसलों में कमजोरी थी जो भटका
मंज़िल तलक तो वरना पहुंचा ही देती राहें


Duur din bhi nahi andhere se

Duur din bhi nahi andhere se
Badi umeed hai savere se

Abhi thakna nahi nigaah meri
Paon bahut duur hai basere se

Kheton mein khushiyan ugengi  aakhir
Badal dikhne lage mundere se

Apno ne loot liya aakhir usko
Bach ke aaye tha jo lutere se

Mout ki had mein zindagi ka hunar
Koi puche jaraa sapere se

Deepak, mohabatt hi kaam aati hai

Dil kahan miltey hai sirf phere se

Tu jo keh de toh yeh halaat badal jaayenge

Tu jo keh de toh yeh halaat badal jaayenge
Mere khawab bhi tere paas hi pal jaayenge

Bahut ujaala hai tere waadon  mein dar lagta hai
Yeh kisi din ki tarah shaam ko dhal jayenge

Waqt ke shaakh se pat_to ke girne ka sabak
naye ittefaaq puraane yaadon ko nigal jaayenge

mere kadmo ko mil jaaye koi maqsad ka safar
aawaara raastey mumkin hai sambhal jaayenge

Saaye mere humdum, bas ujaale tak hai
andhere hotey hi yeh saaf nikal jaayenge

Dil e betaab, pathar mein dhadkta hai “Deepak”

humko le le koi baahon mein pighal jaayenge

Kaam kuch nayaa kiyaa jaaye

Kaam kuch nayaa kiyaa  jaaye
Aaj unkaa naam  na liyaa jaaye

Din tabaah hue bahut yaadon mein
Raaton ko toh bachaa liyaa jaaye

Katra katra hi mil raha hain mujhe
Katra katra hi jee liyaa jaaye

Koi khamoshi sun rahaa hoga
Thoda sa shor kar liyaa jaaye

Saari tasveerein dhundhti hain jise
 chehra wo bhi mila liyaa jaaye

Khaali mann khoob awaaj karta hai
Kuch saamaan bhar liyaa jaaye

Darr ke uss paar hogi azaadi
Aaj yeh housla kiyaa jaaye

“Deepak” yeh sochtey hai hunarwale

Waqt rehtey bhanjaa liyaa jaaye

Bin khuntey ke jo bandhi hogi

Bin khuntey ke jo bandhi hogi
Jaane kaisi wo bebasi hogi
Phir koi kar rahaa wafaa ke waade
Shayad isii baat par hasi hogi

Usko anjaam ka intezaar sa hai
Gehre duldul mein wo fasi hogi

Faadkar dekh lo zameen ke andar
Aaj bhi seeta koi dhasi hogi

Chaawal ke daane se koun fasta hai
Koi nadaan hi fasi hogi

Chamkti aankhon se jo shehr ko gaya
Paagal, uski kya waapsi hogi

Deepak” kar leta hai halaato se souda

Kuch toh uski bhi bebasi hogi

Mili khaakh mein mohabatt, hasaa khoob hai zamana

Mili khaakh mein mohabatt, hasaa khoob hai zamana
Mere dil magar wafa ke, zakhmo ko na deekhana
Mere dil se khelkar shayad, tera dil nahi bhara ho
Kisi aur ke chaman mein, par aag na lagaanaa

Tere naam ka deewaana, hur baat chahtaa tha
Kahi tod dala mujhko, tera fayaada uthana

Aadhe safar mein raahi rastaa bhatak ke soche
Sahi aur aagey badhnaa, ya palat ke lout jaanaa

Mujhko sanam, khuda woh kya kya na bolta tha
Usney hi aaj rastey, mujhko nahi pehchaanaa

Hai yeh mohabatton ka kaisa asar na jaane
Dil doob doobkar bhi, chaahe paar paar jaana

Dhoke shehar mein aakar, mouke taalashtey hai
Maa ne kaha tha mujhse, bahut duur  tak na jaanaa

“Deepak”  yeh jaana humne lehro mein doobkar
Saahil ke raet par, kabhi sapne nahi banaanaa




Wednesday, January 2, 2013

Wo jo manzilon se aage gaye, wo lout kar kya aayenge


Wo jo manzilon se aage gaye, wo lout kar kya aayenge
Naseeb likhi judaayee thi, tanhayeeon ko samjhayenge

Wo nahi tha akhiri jis pe aakar ke khtam umeedein ho
Abke bahaar phir dil sajaakar, mausamo ko bulaayenge

Yaadein gayi, baatein gayi, ik dil bachaa bekaar sa
Badi lambi gham ki raat hai, dheeme dheeme jalaayenge

Koi aur hoga jo raat din jeeye gham sajaa kar ishq ka
Hum jaake husn ki galiyon mein, phir dil ki baazi lagaayenge

Hasrato ka kya hai, phir mar mitey kisi aur pe
Hur cheez dil se lagaaye toh,  bemaut maare jaayenge

Jhakhm pe taakein lagaaye, maiqado ki mastiyaan
Jub ghao bhar jaayega hum khud hi uthkar aayenge

“Deepak” bahut deewaangi mein dum ghutaya bewajah
Dil_lagi ko ab kabhi hum dil ki lagi na banayenge